Tuesday 19 April 2016

Daag Dehlvi

Daag Dehlvi

Daag Dehlvi
1831-1905
Daagh Dehlvi was an Indian poet who wrote most of his poetry on Love and Romance. His bibliography include Gulzar-e-Daagh, Yaadgar-e-Daagh, Masnavi Fariyad-e-Daagh, Aftab-e-Daagh, Mahtab-e-Daagh.Page 1 of 2


Aese aaney se to behtar tha naa aana tera….

Daag Dehlvi

daag dehlvi
Le chala jaan meri rooth ke jaana tera,
Aese aaney se to behtar tha naa aana tera..



Baat meri kabhi suni hi nahin..

Daag Dehlvi

Baat meri kabhi suni hi nahin,
Jaante woh buri bhalli hi nahin,

Dillagi un ki dillagi hi nahin,
Ranj bhi hai faqat hansi hi nahin,

Lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid,
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin,

Urr gayi yuun wafaa zamaane se,
Kabhi goya kisi main thi hi nahin,

Jaan kya duu ke jaanta hoon main,
Tum ne yeh cheez le ke dii hi nahin,

Hum to dushman ko dost kar lete,
Pr karen kya teri khushi hi nahin,

Hum teri aarzuu pe jeete hain.
Yeh nahin hai to zindagi hi nahin,

Daag kyun tum ko bewafa kehta,
Woh shikayat ka aadmi hi nahin..

  • 5

Hamare khat mn neya ik salaam kis ka tha..

Daag Dehlvi

woh qatal karke mera sab se puchte hain
Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha,
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha,

Woh qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hain,
Yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha,

Wafa karen ge nibhayen ge baat maanen ge,
Tumhen bhi yaad hai kuch yeh kalaam kis ka tha,

Raha na dil main woh bedard aur dard raha,
Muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha,

Naa puch-gachh thi kisi ki wahan na aao-bhagat,
Tumhari bazam main kal ehtimaam kis ka tha,

Hamare khat ke to purze kiye parrha bhi nahin,
Suna jo tu ne ba-dil woh payaam kis ka tha,

Guzar geya woh zamana kahoon to kis se kahoon,
Khayaal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha,

Har ik se kehte hain kya “dagh” bewafa nikla,
Yeh puche un se koi woh ghulaam kis ka tha..

Aarzuu hai wafaa kare koi..

Daag Dehlvi

Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,

Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,

Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,

Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,

Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,

Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,

Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,

Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,

Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,

Jis mei laakhon baras ki huuren hon,
Aisi jannat ko kya kare koi,

Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,

Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..


Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete..

Daag Dehlvi

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Maashuuq ho ya koi amaanat ho kissi ki..



Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain..

Daag Dehlvi

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain,
Saaf chupte bhi nahi saamne aatey bhi naheen..


Le chala jaan meri rooth ke jana tera,..

Daag Dehlvi

Le chala jaan meri rooth ke jana tera,
Aese aaney se to behter tha naa ana tera..

Raha na dil main woh be’dard aur dard raha..

Daag Dehlvi

Raha na dil main woh be’dard aur dard raha,
Muqeem kon hua hai, maqaam kis ka thaa..


Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota..

Daag Dehlvi



Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete..

Daag Dehlvi

Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete,
Maashooq ho ya koi amaanat ho kissi ki..