Wednesday 13 April 2016

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi  
Ahmad Nadeem Qasmi was a well known Pakistani poet and jounalist. He wrote almost 50 books on topics like poetry and fiction



Ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain hum..

Ahmad Nadeem Qasmi

ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain
Ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain hum,
Maloom hi nahin ke kahan ja rahe hain hum..





Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya..

Ahmad Nadeem Qasmi

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,

Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,

Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,

Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,

Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,

Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,

Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..

Ahmad Nadeem Qasmi

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,

Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,

Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,

Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,

Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,

Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..







Jo buraayi mere naam se mansoob huyi..

Ahmad Nadeem Qasmi

Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona..





Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka

Ahmad Nadeem Qasmi

Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka,
Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain..






Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese

Ahmad Nadeem Qasmi

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,

Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese…!





Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna

Ahmad Nadeem Qasmi

Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna,

Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna

Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,

Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,

Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai “Nadeem”
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna

  • 5




Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ahmad Nadeem Qasmi

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon

TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?

Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon………!

  • 5

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese

Ahmad Nadeem Qasmi

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,

Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese…


Mein tujhe ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad

Ahmad Nadeem Qasmi

Mein tujhe ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad
Tera kheyal kya tha ke chott ubhar aayi…

No comments:

Post a Comment