Wednesday 13 April 2016

Aitbar Sajid Poetey

Aitbar Sajid

Aitbar Sajid
1977
Aitbar Sajid is a poet from Rawalpindi city. His first book was published in January 2002.
Aitbar Sajid’s most popular book was “Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do”. It was sold in huge numbers.
People who have personally met Aitbar Sajid usually say that he is way too sad and always keeps asking everybody to pray for him.





Hum bhi shikasta dil hain, pareshan tum bhi ho..

Aitbar Sajid

Hum bhi shikasta dil hain, pareshan tum bhi ho,
Andar se raiza raiza meri jaan tum bhi ho,

Hum bhi hain aik ujrre huye sheher ki tarah,
Ankhen bataa rahi hain ke veeraan tum bhi ho,

Darpesh hai humen bhi karri dhoop ka safar,
Saaye ki aarzuu main pareshaan tum bhi ho,

Jese kisi khayaal ka saaya hain do wajood,
Hum bhi agar qayyaas hain, imkaan tum bhi ho,

Mil jayen hum to kesa suhaana saffar katte,
Ghaayal hain hum bhi, sokhta samaan tum bhi ho..

  • 5




Tumhen jab kabhi milain fursatain mere dil se bhoj utaar do..

Aitbar Sajid

Tumhen jab kabhi milain fursatain mere dil se bhoj utaar do,
Main bohat dinon se udas hoon mujhe koi sham udhaar do,

Mujhe apne roop ki dhoop do ke chamak sakain mere haal-o-hadh,
Mujhe apne rang main rang do mere sare zung utar do.

Kisi aur ko mere haal se na gharz hai koi na waasta,
Main bikhr gya hoon samait lo, main bigarr geya hoon sanwaar do.

Meri wehshton ko barrhaa diya hai judayion ke azab ne,
Mere dil pe haath rakho zara meri dharrknon ko qarar do,

Tumhe subah kaisi lagi kaho mere khawahshon ke dayaar ki,
Jo bhali lagi to yahin raho, isse chahton se nikhaar do.

Wahan ghar main kon ha muntazir ke ho fikar dair sawair ki,
Barri mukhtsar si yeh raat hai isse chandni main guzaar do.

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsaar ki oatt mein,
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj-gul main utar do.




hum bhi shikasta dil hain


Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte..

Aitbar Sajid

Judaa hone ka andesha bhi seh nahin sakte,
Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte,

Yeh roz-o-shab hain hamare ke aik dusre se,
Chupaaye phirte hain ehwaal, keh nahin sakte,

Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahin,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin sakte,

Haqeeqton ki chattaanain bhi apni raah main hain,
Khayaal-o-khawb ke daryaa main bhi reh nahin sakte,

Woh beqasoor hai esi bhi koi baat nahin,
Qasoor vaar hain hum, yeh bhi keh nahin sakte..





Zindagi tu ne humain kesi sazaayen di hain..

Aitbar Sajid

dhoopkedashtmeinsheesheykiridaayen_8767_1234_temp


Paiker tha wafaa ka..Fathers Poetry.

Aitbar Sajid

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha,
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha,

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke,
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha,

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar,
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha,

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin,
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha,

Jab taka raha saanson ka basera mere baba,
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha,

Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati,
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha..

  • 5

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey..

Aitbar Sajid

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey,
Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey,

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se,
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey,

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey,

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain,
Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey,

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin,
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey..

  • 5





Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin..

Aitbar Sajid

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”,

Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga,
Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga,
Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga,

Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga,
Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin,

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”..

No comments:

Post a Comment