Tuesday 19 April 2016

Daag Dehlvi

Daag Dehlvi

Daag Dehlvi
1831-1905
Daagh Dehlvi was an Indian poet who wrote most of his poetry on Love and Romance. His bibliography include Gulzar-e-Daagh, Yaadgar-e-Daagh, Masnavi Fariyad-e-Daagh, Aftab-e-Daagh, Mahtab-e-Daagh.Page 1 of 2


Aese aaney se to behtar tha naa aana tera….

Daag Dehlvi

daag dehlvi
Le chala jaan meri rooth ke jaana tera,
Aese aaney se to behtar tha naa aana tera..



Baat meri kabhi suni hi nahin..

Daag Dehlvi

Baat meri kabhi suni hi nahin,
Jaante woh buri bhalli hi nahin,

Dillagi un ki dillagi hi nahin,
Ranj bhi hai faqat hansi hi nahin,

Lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid,
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin,

Urr gayi yuun wafaa zamaane se,
Kabhi goya kisi main thi hi nahin,

Jaan kya duu ke jaanta hoon main,
Tum ne yeh cheez le ke dii hi nahin,

Hum to dushman ko dost kar lete,
Pr karen kya teri khushi hi nahin,

Hum teri aarzuu pe jeete hain.
Yeh nahin hai to zindagi hi nahin,

Daag kyun tum ko bewafa kehta,
Woh shikayat ka aadmi hi nahin..

  • 5

Hamare khat mn neya ik salaam kis ka tha..

Daag Dehlvi

woh qatal karke mera sab se puchte hain
Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha,
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha,

Woh qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hain,
Yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha,

Wafa karen ge nibhayen ge baat maanen ge,
Tumhen bhi yaad hai kuch yeh kalaam kis ka tha,

Raha na dil main woh bedard aur dard raha,
Muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha,

Naa puch-gachh thi kisi ki wahan na aao-bhagat,
Tumhari bazam main kal ehtimaam kis ka tha,

Hamare khat ke to purze kiye parrha bhi nahin,
Suna jo tu ne ba-dil woh payaam kis ka tha,

Guzar geya woh zamana kahoon to kis se kahoon,
Khayaal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha,

Har ik se kehte hain kya “dagh” bewafa nikla,
Yeh puche un se koi woh ghulaam kis ka tha..

Aarzuu hai wafaa kare koi..

Daag Dehlvi

Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,

Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,

Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,

Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,

Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,

Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,

Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,

Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,

Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,

Jis mei laakhon baras ki huuren hon,
Aisi jannat ko kya kare koi,

Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,

Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..


Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete..

Daag Dehlvi

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Maashuuq ho ya koi amaanat ho kissi ki..



Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain..

Daag Dehlvi

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain,
Saaf chupte bhi nahi saamne aatey bhi naheen..


Le chala jaan meri rooth ke jana tera,..

Daag Dehlvi

Le chala jaan meri rooth ke jana tera,
Aese aaney se to behter tha naa ana tera..

Raha na dil main woh be’dard aur dard raha..

Daag Dehlvi

Raha na dil main woh be’dard aur dard raha,
Muqeem kon hua hai, maqaam kis ka thaa..


Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota..

Daag Dehlvi



Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete..

Daag Dehlvi

Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete,
Maashooq ho ya koi amaanat ho kissi ki..

Bismil Allahabadi Poerty

Bismil Allahabadi

Bismil Allahabadi Poetry


Sarfaroshi ki tamana

Bismil Allahabadi

sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai

karta nahi kyon dusara kuch bat-chit
dekhata hun main jise vo chup teri mahfil main hai

ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
ab teri himat ka charcha gair ki mahfil main hai

vaqt ane de bata denge tujhe ai asman
ham abhi se kya batayen kya hamare dil main hai

khinch kar lai hain sab ko qatl hone ki ummid
ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai

Baqar Zaidi Poetry

Baqar Zaidi

Baqar Zaidi Poetry


Dimagon pe asar karte hain

Baqar Zaidi

Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain
ham ajab log hain zehnon main safar karte hain

jab sarape pe kahin us ke nazar karte hain
mir sahab ki tarah umr basar karte hain

bandishen ham ko kisi hal gavara hi nahin
ham to vo log hain divar ko dar karte hain

vaqt ki tez-kharami hamain kya rokegi
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain

naqsh-e-pa apana kahin rah main hota hi nahin
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain

ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaran ke yahan
vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain

kya kahen hal tera ai mutamaddin duniya
janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain

ham ko dushman ki bhi taqlif gavara na hui
log ehbab se bhi sarf-e-nazar karte hain

marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar
umr kuchh log andheron main basar karte hain

tazakara mir ka Galib ki zaban tak aya
aitaraf-e-hunar, arbab-e-hunar karte hain

Friday 15 April 2016

Bahadur Shah Zafar

Bahadur Shah Zafar

Bahadur Shah Zafar
Bahadur Shah Zafar was the last Mughal emperor and a famous poet.


Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi..

Bahadur Shah Zafar

baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi
Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,

Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil kabhi aesi to na thi,

Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyat meri maayel kabhi aisi to na thi,

Akss-e-rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main mah-e-kamil kabhi aesi to na thi,

Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,

Nigaah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,

Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,

Kya sabbab tu jo bigarrta hai “zafar” se har baar,
Khuu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi..


Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein..

Bahadur Shah Zafar

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,

Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,

Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar main,

Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..






Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,,

Bahadur Shah Zafar

Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,
Lutt jaye kahin raah mein samaan kisi ka..

Bahadur Shah Zafar




Bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki

Bahadur Shah Zafar

Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,
Sozish-e-dil ko aye ashko, Kya khaak bhujana seekhey ho…






Dil jaan lete hain 

Bahadur Shah Zafar

dilbar

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair

kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair