Wednesday 13 April 2016

Allama Iqbal Poetry

Allama Iqbal

Allama Iqbal
1877-1938
Allama Iqbal was the pioneer of urdu poetry. Even today Allama Iqbal Poetry is an inspiration for youth of pakistan. Allama Iqbal was the one who dreamed of Pakistan. Stating Allama Iqbal the GodFather of Urdu Poetry will not be wrong at all.

Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main..

Allama Iqbal

Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main,
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenon main,

Kabhi apna bhi nazaara kiya hai tu ne ae majnoon,
Ke laila ki tarah tu bhi hai mehmil-nasheenon main,

Mahine vasl ke gharriyon ki surat urrte jaate hain,
Magar gharriyan judaayi ki guzarti hain maheenon main,

Mujhe roke ga tu ae na-khuda kya gharaq hone se,
Ke jin ko doobna ho, doob jate hain safeenon main,

Jalaa sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-naffas in ki,
Elahi! Kya chupaa hota hai ehl-e-dil ke seenon main,

Na puch in kharqa poshon ki, iradat ho to dekh in ko,
Yadd-e-baiza liye baithe hain apni aasteenon main,

Kisi aese sharar se phoonk apne kharman-e-dil ko,
Ke khurshid-e-qayamat bhi ho tere khoshaa-cheenon main,

Mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala,
Ye woh mai hai jise rakhte hain nazuk aabgeenon main,

Saraapa husn ban jata hai jis ke husn ka ashiq,
Bhala ae dil haseen aesa bhi hai koi haseenon main,

Numayan ho ke dikhla de kabhi in ko jamaal apna,
Bohat muddat se charche hain tere baareek beenon main,

Khamosh ae dil! Bhari mehfil mein chillaana nahin acha,

Adab pehla qareena hai mohabbat ke qareenon main,

Bura samajhun inhe, mujh se to aesa ho nahin sakta,
Ke main khud bhi to hun iqbal apne nukta-cheenon main..






Tere ishq ki intehaa chahta hoon..

Allama Iqbal

tere ishq ki intehaa chahta hon
Tere ishq ki intehaa chahta hoon,
Meri saadgi dekh kya chahta hoon,

Sitam ho ke ho vaada-e-be-hijaabi,
Koi baat sabar-aazmaa chahta hoon,

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko,
Ke main aap ka saamna chahta hoon,

Zara sa to dil hoon magar shokh itna,
Wohi lan-taraani sunaa chahta hoon,

Koi dum ka mehmaan hon ehl-e-mehfil,

Charaagh-e-sehar hoon bhujaa chahta hoon,

Bharii bazm main raaz ki baat keh di,
Bara be-adab hoon sazaa chahta hoon..





Akal ayyaar hai, sau bhaiss bana leti hai..

Allama Iqbal

Akal ayyaar* hai, sau bhaiss bana leti hai,
Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem.




Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta

Allama Iqbal

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta,
Kah main khud tou hoon Iqbal apnay nukta chinoon main..





Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta..

Allama Iqbal

Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta,
Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine..

  • 5








Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…






Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..

Allama Iqbal

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..

(Mirza Ghalib)

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..

(Allama Iqbal)

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..

(Ahmad Faraz)





naheen hay na umeed Iqbal apni kasht o weeraan say

Allama Iqbal

naheen hay na umeed Iqbal apni kasht o weeraan say
zra nam ho to ya mti baree zarhaiz hai saaqi





Dekh kaisi qayamat si barpa huyi

Allama Iqbal

DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay IQbaL…!
Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye…!





Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Allama Iqbal

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….

No comments:

Post a Comment